dast-e-wahshat se zara aur sanwarenge tujhe
dast-e-vahshat se zarā aur sañvāreñge tujhe
apne andāz meñ ai hijr guzāreñge tujhe
gar hameñ niiñd na aa.ī to ye tai hai jānāñ
tere darvāze pe jā.eñge pukāreñge tujhe
ai mohabbat tujhe tā-hashr nibhā.eñge ham
itnī jaldī kahāñ palkoñ se utāreñge tujhe
jis bhī lamhe meñ tujhe jiine kī hasrat hogī
ham usī lamhe kī dahlīz pe māreñge tujhe
phir se rakkhā hai tujhe daav pe ai dil ham ne
ham ko mā'lūm hai is baar bhī hāreñge tujhe
vaqt-e-āḳhir bhī ye jaañ tum pe hī aTkī hogī
hoñTh jab jab bhī khuleñge to pukāreñge tujhe
dast-e-wahshat se zara aur sanwarenge tujhe
apne andaz mein ai hijr guzarenge tujhe
gar hamein nind na aai to ye tai hai jaanan
tere darwaze pe jaenge pukarenge tujhe
ai mohabbat tujhe ta-hashr nibhaenge hum
itni jaldi kahan palkon se utarenge tujhe
jis bhi lamhe mein tujhe jine ki hasrat hogi
hum usi lamhe ki dahliz pe marenge tujhe
phir se rakkha hai tujhe daw pe ai dil hum ne
hum ko ma'lum hai is bar bhi haarenge tujhe
waqt-e-aKHir bhi ye jaan tum pe hi aTki hogi
honTh jab jab bhi khulenge to pukarenge tujhe
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 121)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.