Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dayar-e-ghair mein koi to aasra nikla

Aarib Hasimi

dayar-e-ghair mein koi to aasra nikla

Aarib Hasimi

MORE BYAarib Hasimi

    dayār-e-ġhair meñ koī to aasrā niklā

    vo ajnabī thā mire apne gaañv niklā

    vagarna kaun mohabbat yahāñ nibhā paatā

    ḳhudā shukr judā.ī rāsta niklā

    maiñ sab ko raah dikhāte yahāñ talak aaya

    phir apne ghar pata pūchhtā huā niklā

    maiñ ek umr jise sang samajhtā rahā

    vo ek shaḳhs mohabbat meñ mubtalā niklā

    dayar-e-ghair mein koi to aasra nikla

    wo ajnabi tha mere apne ganw ka nikla

    wagarna kaun mohabbat yahan nibha pata

    KHuda ka shukr judai ka rasta nikla

    main sab ko rah dikhate yahan talak aaya

    phir apne ghar ka pata puchhta hua nikla

    main ek umr jise sang hi samajhta raha

    wo ek shaKHs mohabbat mein mubtala nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now