Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD

Bahadur Shah Zafar

dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    dekh dil ko mire o kāfir-e-be-pīr na toḌ

    ghar hai allāh ye is to ta.amīr na toḌ

    ġhul sadā vādī-e-vahshat meñ rakhūñgā barpā

    ai junūñ dekh mire paañv zanjīr na toḌ

    dekh Tuk ġhaur se ā.īna-e-dil ko mere

    is meñ aatā hai nazar ālam-e-tasvīr na toḌ

    tāj-e-zar ke liye kyuuñ sham' sar kaaTe hai

    rishta-e-ulfat-e-parvāna ko gul-gīr na toḌ

    apne bismil se ye kahtā thā dam-e-naz.a vo shoḳh

    thā jo kuchh ahd so o āshiq-e-dil-gīr na toḌ

    raqs-e-bismil tamāshā mujhe dikhlā koī dam

    dast o maar ke dam tah-e-shamshīr na toḌ

    saham kar ai 'zafar' us shoḳh kamāñ-dār se kah

    khīñch kar dekh mire siine se tiir na toḌ

    dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD

    ghar hai allah ka ye is ki to tamir na toD

    ghul sada wadi-e-wahshat mein rakhunga barpa

    ai junun dekh mere panw ki zanjir na toD

    dekh Tuk ghaur se aaina-e-dil ko mere

    is mein aata hai nazar aalam-e-taswir na toD

    taj-e-zar ke liye kyun sham' ka sar kaTe hai

    rishta-e-ulfat-e-parwana ko gul-gir na toD

    apne bismil se ye kahta tha dam-e-naza wo shoKH

    tha jo kuchh ahd so o aashiq-e-dil-gir na toD

    raqs-e-bismil ka tamasha mujhe dikhla koi dam

    dast o pa mar ke dam tu tah-e-shamshir na toD

    saham kar ai 'zafar' us shoKH kaman-dar se kah

    khinch kar dekh mere sine se tu tir na toD

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now