Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh jurm-o-saza ki baat na kar

Davarka Das Shola

dekh jurm-o-saza ki baat na kar

Davarka Das Shola

MORE BYDavarka Das Shola

    dekh jurm-o-sazā baat na kar

    mai-kade meñ ḳhudā baat na kar

    maiñ to be-mehriyoñ aadī huuñ

    mujh se mehr-o-vafā baat na kar

    shauq-e-be-mudda.ā maarā huuñ

    shauq-e-be-mudda.ā baat na kar

    vo to muddat huī ki TuuT gayā

    mere dast-e-duā baat na kar

    jo nahīñ iḳhtiyār meñ mere

    us but be-vafā baat na kar

    ishq intihā ko dekh zarā

    ishq ibtidā baat na kar

    kyā milā fikr rasā.ī se

    merī fikr-e-rasā baat na kar

    is taqdīr meñ ḳharābī thī

    is dil-e-mubtalā baat na kar

    jo bhī honā thā ho gayā 'sho.ala'

    karam-e-nāḳhudā baat na kar

    dekh jurm-o-saza ki baat na kar

    mai-kade mein KHuda ki baat na kar

    main to be-mehriyon ka aadi hun

    mujh se mehr-o-wafa ki baat na kar

    shauq-e-be-muddaa ka mara hun

    shauq-e-be-muddaa ki baat na kar

    wo to muddat hui ki TuT gaya

    mere dast-e-dua ki baat na kar

    jo nahin iKHtiyar mein mere

    us but be-wafa ki baat na kar

    ishq ki intiha ko dekh zara

    ishq ki ibtida ki baat na kar

    kya mila fikr ki rasai se

    meri fikr-e-rasa ki baat na kar

    is ki taqdir mein KHarabi thi

    is dil-e-mubtala ki baat na kar

    jo bhi hona tha ho gaya 'shoala'

    karam-e-naKHuda ki baat na kar

    Source:

    Shola-Zaar (Pg. 100)

    • Author: Davarka Das Shola
      • Edition: 1962
      • Publisher: Urdu Writers Co-Operative Society, Delhi
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now