Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh tera jamal kuchh ka kuchh

Meerza Jawan Bakht Jahandar

dekh tera jamal kuchh ka kuchh

Meerza Jawan Bakht Jahandar

MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar

    dekh terā jamāl kuchh kuchh

    dil meñ aayā ḳhayāl kuchh kuchh

    aaj lagtā hai merī āñkhoñ meñ

    vo mirā naunihāl kuchh kuchh

    dekh us manharan āñkhoñ ko

    ho gayā us haal kuchh kuchh

    ḳhat pe us ke to thī kuchh aur bahār

    hai farībinda ḳhaal kuchh kuchh

    hai taraqqī meñ us ḳhush-abrū

    husn misl-e-hilāl kuchh kuchh

    haal dikhlāte haiñ zamāne

    gardish-e-māh-o-sāl kuchh kuchh

    ai 'jahāñdār' mashq-e-sher meñ ab

    ne paayā kamāl kuchh kuchh

    dekh tera jamal kuchh ka kuchh

    dil mein aaya KHayal kuchh ka kuchh

    aaj lagta hai meri aankhon mein

    wo mera naunihaal kuchh ka kuchh

    dekh us manharan ki aankhon ko

    ho gaya us ka haal kuchh ka kuchh

    KHat pe us ke to thi kuchh aur hi bahaar

    hai faribinda KHal kuchh ka kuchh

    hai taraqqi mein us KHush-abru ka

    husn misl-e-hilal kuchh ka kuchh

    haal dikhlate hain zamane ka

    gardish-e-mah-o-sal kuchh ka kuchh

    ai 'jahandar' mashq-e-sher mein ab

    tu ne paya kamal kuchh ka kuchh

    Source:

    Deewan-e-Jahandaar (Pg. ebook-132 page-125)

    • Author: Meerza Jawan Bakht Jahandar
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now