aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar Dub gaya

Raunaq Raza

dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar Dub gaya

Raunaq Raza

MORE BYRaunaq Raza

    dekh ufuq ke pīle-pan meñ duur vo manzar Duub gayā

    jaise kisī bīmār ke ruḳh par rañg ubhar kar Duub gayā

    jhūTī aas ke pañkh lagā kar saat samundar uḌ aayā

    tere qurb ḳhushbū kar maiñ sāhil par Duub gayā

    yaad ai sailī dīvāro ab ke aisā lagtā hai

    haal tuġhyānī meñ jaise maazī ghar Duub gayā

    vo to apne qad se ziyāda sar-afarāz-e-bazm huā

    maiñ gumnām zamāna apnī zaat ke andar Duub gayā

    us ke badan ke sīmīñ-pan ek tasavvur thā ki achānak

    lams ne baḌh kar Thokar khaa.ī chāñd chamak kar Duub gayā

    dekh ufuq ke pile-pan mein dur wo manzar Dub gaya

    jaise kisi bimar ke ruKH par rang ubhar kar Dub gaya

    jhuTi aas ke pankh laga kar sat samundar uD aaya

    tere qurb ki KHushbu pa kar main sahil par Dub gaya

    yaad ki ai saili diwaro ab ke aisa lagta hai

    haal ki tughyani mein jaise mazi ka ghar Dub gaya

    wo to apne qad se ziyaada sar-afaraaz-e-bazm hua

    main gumnam zamana apni zat ke andar Dub gaya

    us ke badan ke simin-pan ka ek tasawwur tha ki achanak

    lams ne baDh kar Thokar khai chand chamak kar Dub gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now