Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh

Nida Fazli

dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    dekhā huā kuchh hai to sochā huā kuchh

    har vaqt mere saath hai uljhā huā kuchh

    hotā hai yuuñ bhī rāsta khultā nahīñ kahīñ

    jañgal phail jaatā hai khoyā huā kuchh

    sāhil giilī ret par bachchoñ ke khel

    har lamha mujh meñ bantā bikhartā huā kuchh

    fursat ne aaj ghar ko sajāyā kuchh is tarah

    har shai se muskurātā hai rotā huā kuchh

    dhundlī ek yaad kisī qabr diyā

    aur mere ās-pās chamaktā huā kuchh

    dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh

    har waqt mere sath hai uljha hua sa kuchh

    hota hai yun bhi rasta khulta nahin kahin

    jangal sa phail jata hai khoya hua sa kuchh

    sahil ki gili ret par bachchon ke khel sa

    har lamha mujh mein banta bikharta hua sa kuchh

    fursat ne aaj ghar ko sajaya kuchh is tarah

    har shai se muskuraata hai rota hua sa kuchh

    dhundli si ek yaad kisi qabr ka diya

    aur mere aas-pas chamakta hua sa kuchh

    Source:

    Sheher Men Gaon (Pg. 371)

    • Author: Shahid Mahili
      • Edition: 2012
      • Publisher: Miaar Publications
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now