aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf

Qayem Chaandpuri

dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    dekhā kabhū na us dil-e-nāshād taraf

    kartā rahā apnī bedād taraf

    jis gul ne sun ke nāla-e-bulbul uḌā diyā

    rakhtā hai gosh kab mirī fariyād taraf

    muuñd ai par-e-shikasta na chāk-e-qafas ki ham

    Tuk yaañ ko dekh lete haiñ sayyād taraf

    kahte haiñ girya ḳhāna-e-dil kar chukā ḳharāb

    aatā hai chashm ab tirī buniyād taraf

    liijo ḳhabar mire bhī dil-e-zār nasīm

    jaave agar us sitam-ābād taraf

    'qā.em' is ġhazal ko yūñhī sarsarī kah

    honā paḌegā hazrat-e-ustād taraf

    dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf

    karta raha tu apni hi bedad ki taraf

    jis gul ne sun ke nala-e-bulbul uDa diya

    rakhta hai gosh kab meri fariyaad ki taraf

    mund ai par-e-shikasta na chaak-e-qafas ki hum

    Tuk yan ko dekh lete hain sayyaad ki taraf

    kahte hain girya KHana-e-dil kar chuka KHarab

    aata hai chashm ab teri buniyaad ki taraf

    lijo KHabar mere bhi dil-e-zar ki nasim

    jawe agar tu us sitam-abaad ki taraf

    'qaem' tu is ghazal ko yunhi sarsari hi kah

    hona paDega hazrat-e-ustad ki taraf

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf Fasih Akmal

    Source:

    Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website) (Pg. 76)

      • Edition: 1963
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now