Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha kisi ka humne na aisa suna dimagh

Sardar Genda Singh Mashriqi

dekha kisi ka humne na aisa suna dimagh

Sardar Genda Singh Mashriqi

MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi

    dekhā kisī ham ne na aisā sunā dimāġh

    in sang-dil butoñ hai allāh kyā dimāġh

    kartā nahīñ tamīz sharīf-o-razīl meñ

    is charḳh-e-pīr hai magar phir gayā dimāġh

    dekhe bahut haiñ ham ne hasīnān-e-pur-ġhurūr

    lekin 'ajab tarah hai kuchh aap dimāġh

    kal jitnā ham ne us ko manā ke banāyā thā

    utnā aaj aur hai bigḌā huā dimāġh

    jab hoñge pesh dāvar-e-mahshar ke sāmne

    ham dekh leñge aap roz-e-jazā dimāġh

    aayā nahīñ samajh meñ ye ulTā mu'āmla

    ban ban ke kyuuñ bigaḌtā hai ye aap dimāġh

    gul bahār gulsitāñ meñ chand roz hai

    achchhā nahīñ hai is qadar ai mah-laqā dimāġh

    ai 'mashriqī' kabhī thā dimāġh apnā arsh par

    hai āj-kal to ḳhaak meñ apnā milā dimāġh

    dekha kisi ka hum ne na aisa suna dimagh

    in sang-dil buton ka hai allah kya dimagh

    karta nahin tamiz sharif-o-razil mein

    is charKH-e-pir ka hai magar phir gaya dimagh

    dekhe bahut hain hum ne hasinan-e-pur-ghurur

    lekin 'ajab tarah ka hai kuchh aap ka dimagh

    kal jitna hum ne us ko mana ke banaya tha

    utna hi aaj aur hai bigDa hua dimagh

    jab honge pesh dawar-e-mahshar ke samne

    hum dekh lenge aap ka roz-e-jaza dimagh

    aaya nahin samajh mein ye ulTa mu'amla

    ban ban ke kyun bigaDta hai ye aap ka dimagh

    gul ki bahaar gulsitan mein chand roz hai

    achchha nahin hai is qadar ai mah-laqa dimagh

    ai 'mashriqi' kabhi tha dimagh apna arsh par

    hai aaj-kal to KHak mein apna mila dimagh

    Source:

    Deewan-e-Mashriqi (Pg. e-157 p-161)

    • Author: Sardar Genda Singh Mashriqi
      • Edition: 1989
      • Publisher: Sardar Kulwant Singh
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now