Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha

Farah iqbal

dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    dekhā palaT ke jab bhī to phailā ġhubār thā

    kuchh āñsuoñ dhund thī ujḌā dayār thā

    yādoñ ke aa.ine meñ haiñ ab bhī basī huī

    āñkheñ ki jin meñ munjamid ik intizār thā

    rishtoñ Dor haath se chhūTī thī is liye

    dāman jo bad-gumāniyoñ se taar taar thā

    kaisī thī mai jo aañkh se ne pilā.ī thī

    merī ragoñ meñ aaj tak us ḳhumār thā

    TuuTā koī sitārā thā ḳhvāb-e-ārzū

    taa.ir qafas meñ raat bahut be-qarār thā

    dhundlā diye the jis ne sabhī ā.īne yahāñ

    mere ghar se uTThā vo gard-o-ġhubār thā

    dekha palaT ke jab bhi to phaila ghubar tha

    kuchh aansuon ki dhund thi ujDa dayar tha

    yaadon ke aaine mein hain ab bhi basi hui

    aankhen ki jin mein munjamid ek intizar tha

    rishton ki Dor hath se chhuTi thi is liye

    daman jo bad-gumaniyon se tar tar tha

    kaisi thi mai jo aankh se tu ne pilai thi

    meri ragon mein aaj tak us ka KHumar tha

    TuTa koi sitara tha ya KHwab-e-arzu

    tair qafas mein raat bahut be-qarar tha

    dhundla diye the jis ne sabhi aaine yahan

    mere hi ghar se uTTha wo gard-o-ghubar tha

    Source:

    Koi bhi rut ho (Pg. 75)

    • Author: Farah iqbal
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now