Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha use dil-gir to dil-gir hua main

Mohsin Ehsan

dekha use dil-gir to dil-gir hua main

Mohsin Ehsan

MORE BYMohsin Ehsan

    dekhā use dil-gīr to dil-gīr huā maiñ

    kis dard rishta thā ki zanjīr huā maiñ

    jis ḳhaak paivand hue nauhagar-e-harf

    us ḳhaak tāsīr se iksīr huā maiñ

    ai bād-o-tar-o-tāza mujhe ġhaur se paḌh le

    qirtās-e-pazīrā.ī pe tahrīr huā maiñ

    kis hairat-e-ā.īna ke naḳhchīr haiñ donoñ

    tasvīr huā vo kabhī tasvīr huā maiñ

    sau baar jo andar se maiñ TuuTā huuñ to ik baar

    bāhar se nazar aayā ki ta.amīr huā maiñ

    jo maiñ ne kabhī niiñd meñ dekhā nahīñ thā

    dukh ye hai ki us ḳhvāb ta.abīr huā maiñ

    kis hijr se guzrā huuñ ki be-sāḳhta 'mohsin'

    lailā-e-tamannā se baġhal-gīr huā maiñ

    dekha use dil-gir to dil-gir hua main

    kis dard ka rishta tha ki zanjir hua main

    jis KHak ka paiwand hue nauhagar-e-harf

    us KHak ki tasir se iksir hua main

    ai baad-o-tar-o-taza mujhe ghaur se paDh le

    qirtas-e-pazirai pe tahrir hua main

    kis hairat-e-aina ke naKHchir hain donon

    taswir hua wo kabhi taswir hua main

    sau bar jo andar se main TuTa hun to ek bar

    bahar se nazar aaya ki tamir hua main

    jo main ne kabhi nind mein dekha hi nahin tha

    dukh ye hai ki us KHwab ki tabir hua main

    kis hijr se guzra hun ki be-saKHta 'mohsin'

    laila-e-tamanna se baghal-gir hua main

    Source:

    Sukhan sukhan mehtaab (Pg. 142)

    • Author: Mohsin Ehsaan
      • Edition: 2005
      • Publisher: Aziz ahmed Khan
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now