aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhta hun phul aur kanTe ba-har-su aaj bhi

Khursheed Rizvi

dekhta hun phul aur kanTe ba-har-su aaj bhi

Khursheed Rizvi

MORE BYKhursheed Rizvi

    dekhtā huuñ phuul aur kāñTe ba-har-sū aaj bhī

    yaad kartā huuñ tirī ḳhushbū tirī ḳhū aaj bhī

    jaane kyuuñ jaltī sulagtī shaam ke aivān meñ

    phail jaatī hai tirī bātoñ ḳhushbū aaj bhī

    ziist ke ḳhasta shikasta gumbadoñ meñ gāh-gāh

    gūñjtā hai terī āvāzoñ jaadū aaj bhī

    zulf kab ātish-e-ayyām se kumhlā ga.ī

    zulf saaya nahīñ Dhaltā sar-e-mū aaj bhī

    ne paane haath meñ jis par likhā thā merā naam

    vo sanobar lahlahātā hai lab-e-jū aaj bhī

    vo tirā pal-bhar ko milnā phir bichhaḌne ke liye

    dil muTThī meñ hai is lamhe jugnū aaj bhī

    muddateñ guzrīñ magar ai dost tere naam par

    Dol jaatī hai mire dil tarāzū aaj bhī

    dekhta hun phul aur kanTe ba-har-su aaj bhi

    yaad karta hun teri KHushbu teri KHu aaj bhi

    jaane kyun jalti sulagti sham ke aiwan mein

    phail jati hai teri baaton ki KHushbu aaj bhi

    zist ke KHasta shikasta gumbadon mein gah-gah

    gunjta hai teri aawazon ka jadu aaj bhi

    zulf kab ki aatish-e-ayyam se kumhla gai

    zulf ka saya nahin Dhalta sar-e-mu aaj bhi

    tu ne pane hath mein jis par likha tha mera nam

    wo sanobar lahlahata hai lab-e-ju aaj bhi

    wo tera pal-bhar ko milna phir bichhaDne ke liye

    dil ki muTThi mein hai is lamhe ka jugnu aaj bhi

    muddaten guzrin magar ai dost tere nam par

    Dol jati hai mere dil ki taraazu aaj bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now