dekhte dekhte jab maut sitare ki hui

Khursheed Akbar

dekhte dekhte jab maut sitare ki hui

Khursheed Akbar

MORE BYKhursheed Akbar

  dekhte dekhte jab maut sitāre huī

  phir koī sub.h kahāñ ḳhvāb ke maare huī

  vo muhājir thā muhājir muhājir rahā

  kab tire shahr meñ tadbīr guzāre huī

  us ke farmān sabhī dil siyāhī ne likhe

  aisī tauhīn kahāñ nūr-nazāre huī

  bujhte bujhte bhī huī ātish-e-jāñ tez bahut

  aur jo rasm thī baaqī vo sharāre huī

  zindagī bhī kisī bāzār aurat tarah

  na biyāhe huī aur na kañvāre huī

  kyā sunā.ūñ tujhe rūdād-e-safar kaisī hai

  dhuup aamad huī chhāñv ḳhasāre huī

  yuuñ to vo chāñd bhī be-dāġh nahīñ thā 'ḳhurshīd'

  aur mujh se bhī ḳhatā ek ishāre huī

  dekhte dekhte jab maut sitare ki hui

  phir koi subh kahan KHwab ke mare ki hui

  wo muhajir tha muhajir ka muhajir hi raha

  kab tere shahr mein tadbir guzare ki hui

  us ke farman sabhi dil ki siyahi ne likhe

  aisi tauhin kahan nur-nazare ki hui

  bujhte bujhte bhi hui aatish-e-jaan tez bahut

  aur jo rasm thi baqi wo sharare ki hui

  zindagi bhi kisi bazar ki aurat ki tarah

  na biyahe ki hui aur na kanware ki hui

  kya sunaun tujhe rudad-e-safar kaisi hai

  dhup aamad ki hui chhanw KHasare ki hui

  yun to wo chand bhi be-dagh nahin tha 'KHurshid'

  aur mujh se bhi KHata ek ishaare ki hui

  Source :
  • Book : Falak Pahloo Men (Pg. 82)
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY