Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhaDkanon ki sab kahani KHatm-shud

Yasir Raza Asif

dhaDkanon ki sab kahani KHatm-shud

Yasir Raza Asif

MORE BYYasir Raza Asif

    dhaḌkanoñ sab kahānī ḳhatm-shud

    merī āñkhoñ bhī paanī ḳhatm-shud

    mai na.ī laao dukān-e-hijr se

    jo paḌī thī kuchh purānī ḳhatm-shud

    ye rahī vo jhiil jis khoj thī

    panchhiyo naql-e-makānī ḳhatm-shud

    barf ne sar par baserā kar liyā

    ab javānī kahānī ḳhatm-shud

    shahr-e-dil raunaqeñ sab kho ga.iiñ

    har tarah shādmānī ḳhatm-shud

    uñgliyoñ ke bolne se ye huā

    sab payām-e-muñh-zabānī ḳhatm-shud

    chal ke 'āsif' pūchhte haiñ vaqt se

    kab ye hogī rā.egānī ḳhatm-shud

    dhaDkanon ki sab kahani KHatm-shud

    meri aankhon ka bhi pani KHatm-shud

    mai nai lao dukan-e-hijr se

    jo paDi thi kuchh purani KHatm-shud

    ye rahi wo jhil jis ki khoj thi

    panchhiyo naql-e-makani KHatm-shud

    barf ne sar par basera kar liya

    ab jawani ki kahani KHatm-shud

    shahr-e-dil ki raunaqen sab kho gain

    har tarah ki shadmani KHatm-shud

    ungliyon ke bolne se ye hua

    sab payam-e-munh-zabani KHatm-shud

    chal ke 'asif' puchhte hain waqt se

    kab ye hogi raegani KHatm-shud

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now