Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dhalani tez-raftari mein daKHl-andaz mat ho

Hamida Shaheen

Dhalani tez-raftari mein daKHl-andaz mat ho

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    Dhalānī tez-raftārī meñ daḳhl-andāz mat ho

    kisī biphre hue sailāb āġhāz mat ho

    mohabbat iḳhtitāmī antare par aa na jaa.e

    kisī jangī tarāne bhaḌaktā saaz mat ho

    khañDar hotī huī duniyā meñ terā giit gūñje

    nayā āġhāz ban āḳhirī āvāz mat ho

    yahāñ itne diye haiñ kisī se lau lagā le

    mirī āñkhoñ meñ raushan rah nazar-andāz mat ho

    ye duniyā dekhtī rah jaa.e aisā ḳhvāb ho

    magar tārīk lamhoñ kabhī hamrāz mat ho

    apnī raushnī ham-rahī meñ bhar uḌāneñ

    kisī dhund meñ āmāda-e-parvāz mat ho

    bajā le sīTiyāñ na.are lagā parde girā de

    magar apne kahānī-kār se nārāz mat ho

    Dhalani tez-raftari mein daKHl-andaz mat ho

    kisi biphre hue sailab ka aaghaz mat ho

    mohabbat iKHtitami antare par aa na jae

    kisi jangi tarane ka bhaDakta saz mat ho

    khanDar hoti hui duniya mein tera git gunje

    naya aaghaz ban ja aaKHiri aawaz mat ho

    yahan itne diye hain tu kisi se lau laga le

    meri aankhon mein raushan rah nazar-andaz mat ho

    ye duniya dekhti rah jae aisa KHwab ho ja

    magar tarik lamhon ka kabhi hamraaz mat ho

    tu apni raushni ki ham-rahi mein bhar uDanen

    kisi ki dhund mein aamada-e-parwaz mat ho

    baja le siTiyan nare laga parde gira de

    magar apne kahani-kar se naraaz mat ho

    Source:

    Tasteer (Pg. 446)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now