Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha

Mirza Ghalib

dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    dhamkī meñ mar gayā jo na bāb-e-nabard thā

    ishq-e-nabard-pesha talabgār-e-mard thā

    thā zindagī meñ marg khaTkā lagā huā

    uḌne se pesh-tar bhī mirā rañg zard thā

    tālīf nusḳha-hā-e-vafā kar rahā thā maiñ

    majmūa-e-ḳhayāl abhī fard fard thā

    dil jigar ki sāhil-e-dariyā-e-ḳhūñ hai ab

    is rahguzar meñ jalva-e-gul aage gard thā

    jaatī hai koī kashmakash andoh-e-ishq

    dil bhī agar gayā to vahī dil dard thā

    ahbāb chārasāzi-e-vahshat na kar sake

    zindāñ meñ bhī ḳhayāl bayābāñ-navard thā

    ye lāsh-e-be-kafan 'asad'-e-ḳhasta-jāñ hai

    haq maġhfirat kare ajab āzād mard thā

    dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha

    ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard tha

    tha zindagi mein marg ka khaTka laga hua

    uDne se pesh-tar bhi mera rang zard tha

    talif nusKHa-ha-e-wafa kar raha tha main

    majmua-e-KHayal abhi fard fard tha

    dil ta jigar ki sahil-e-dariya-e-KHun hai ab

    is rahguzar mein jalwa-e-gul aage gard tha

    jati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki

    dil bhi agar gaya to wahi dil ka dard tha

    ahbab chaarasazi-e-wahshat na kar sake

    zindan mein bhi KHayal bayaban-naward tha

    ye lash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaan ki hai

    haq maghfirat kare ajab aazad mard tha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Nomaan Shauque

    dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha Nomaan Shauque

    Javed Naseem

    dhamkii me.n mar gayaa jo na baab-e-nabard thaa Javed Naseem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now