Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

DhunDhta haq ko dar-ba-dar hai tu

Yasin Ali Khan Markaz

DhunDhta haq ko dar-ba-dar hai tu

Yasin Ali Khan Markaz

MORE BYYasin Ali Khan Markaz

    DhūñDhtā haq ko dar-ba-dar hai

    vaa.e apne se be-ḳhabar hai

    shān-e-haq āshkār hai tan se

    mujid-e-kull-e-ḳhair-o-shar hai

    ek meñ kyā vajūd-e-jumla-zuhūr

    kul meñ ḳhud aap bā-asar hai

    qudrat-e-kāmila ko ġhaur to kar

    bahr-e-yaktā.ī guhar hai

    miiT apnī ḳhudī ḳhudā ko

    naf.a hāsil ho kyā agar hai

    muqtadir aap har sabab hai

    is liye ho gayā bashar hai

    ḳhair-o-shar ke hijāb meñ kab tak

    zulmat-e-kufr sahar hai

    terī shān-e-kul huvaidā hai

    banda kahtā hai kyuuñ kidhar hai

    aap har shai meñ jalva-farmā haiñ

    be-ḳhabar kyā hai bā-ḳhabar hai

    mujh pe ilzām aa nahīñ saktā

    har tarah se idhar udhar hai

    koī kuchh qalb kyā kare tujh ko

    be-ġhul-o-ġhash vo saaf zar hai

    kah rahā hai hamesha innī anā

    jumla a.amā rāhbar hai

    jo hai manzūr ho rahā vahī

    kis natīje muntazar hai

    bil-yaqīñ haq shaan hai terī

    muḳhtasar ye hai muḳhtasar hai

    naam terā ḳhudā-numā hai hijāb

    dīda-e-dīd basar hai

    koī paatā nahīñ tujhe 'markaz'

    dū-ba-dū aap jalva-gar hai

    DhunDhta haq ko dar-ba-dar hai tu

    wae apne se be-KHabar hai tu

    shan-e-haq aashkar hai tan se

    mujid-e-kull-e-KHair-o-shar hai tu

    ek mein kya wajud-e-jumla-zuhur

    kul mein KHud aap ba-asar hai tu

    qudrat-e-kaamila ko ghaur to kar

    bahr-e-yaktai ka guhar hai tu

    miT apni KHudi KHuda ko pa

    nafa hasil ho kya agar hai tu

    muqtadir aap har sabab ka hai

    is liye ho gaya bashar hai tu

    KHair-o-shar ke hijab mein kab tak

    zulmat-e-kufr ka sahar hai tu

    teri hi shan-e-kul huwaida hai

    banda kahta hai kyun kidhar hai tu

    aap har shai mein jalwa-farma hain

    be-KHabar kya hai ba-KHabar hai tu

    mujh pe ilzam aa nahin sakta

    har tarah se idhar udhar hai tu

    koi kuchh qalb kya kare tujh ko

    be-ghul-o-ghash wo saf zar hai tu

    kah raha hai hamesha inni ana

    jumla aama ka rahbar hai tu

    jo hai manzur ho raha wahi

    kis natije ka muntazar hai tu

    bil-yaqin haq ki shan hai teri

    muKHtasar ye hai muKHtasar hai tu

    nam tera KHuda-numa hai hijab

    dida-e-did ka basar hai tu

    koi pata nahin tujhe 'markaz'

    du-ba-du aap jalwa-gar hai tu

    Source:

    Dewan-e-Markaz (Pg. B-54 E-53)

    • Author: Yasin Ali Khan Markaz
      • Edition: 1926
      • Publisher: Chishtiya Press Chhatta Bazar
      • Year of Publication: 1926
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now