dipakon mein battiyan rah jaengi
dīpakoñ meñ battiyāñ rah jā.eñgī
tilmilā kar āñdhiyāñ rah jā.eñgī
yuuñ to har parbat fanā ho jā.egā
yaad bas ūñchā.iyāñ rah jā.eñgī
dhuup chāhe jitne dariyā sokh le
dekhnā gahrā.iyāñ rah jā.eñgī
vo kareñgī phir mukammal dāstāñ
daar par jo rassiyāñ rah jā.eñgī
joḌ deñge zindagī kī raah meñ
aap se jo dūriyāñ rah jā.eñgī
shahr se bāhar nikal kar zehn meñ
band hotī khiḌkiyāñ rah jā.eñgī
dukh to ye hai āshiyāñ jalne ke baa'd
bādaloñ meñ bijliyāñ rah jā.eñgī
dipakon mein battiyan rah jaengi
tilmila kar aandhiyan rah jaengi
yun to har parbat fana ho jaega
yaad bas unchaiyan rah jaengi
dhup chahe jitne dariya sokh le
dekhna gahraiyan rah jaengi
wo karengi phir mukammal dastan
dar par jo rassiyan rah jaengi
joD denge zindagi ki rah mein
aap se jo duriyan rah jaengi
shahr se bahar nikal kar zehn mein
band hoti khiDkiyan rah jaengi
dukh to ye hai aashiyan jalne ke ba'd
baadalon mein bijliyan rah jaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.