aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil apne ranj-o-gham se jam-e-jahan-numa tha

Saqib Lakhnavi

dil apne ranj-o-gham se jam-e-jahan-numa tha

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    dil apne ranj-o-ġham se jām-e-jahāñ-numā thā

    ab aap batā.eñ achchhā thā burā thā

    sahrā thā chaman thā jaane vahī ki kyā thā

    is dil intihā hai jo muddatoñ jalā thā

    taḌpūñ raaz kholūñ sañblūñ to ishq nā-ḳhush

    jis haal ko maiñ samjhā achchhā vahī burā thā

    pūchhā na zindagī meñ yuuñ to kisī ne aa kar

    marne ke ba.ad jo thā vo mujh ko pūchhtā thā

    shab ko mirī sadā.eñ mujh tak palaT ke aa.iiñ

    nāloñ kyā ḳhatā thī jab band rāstā thā

    manzil pe jab girā thā thak kar to maiñ ne dekhā

    qissa mirā zabān-e-ālam pe chal rahā thā

    jān-e-hazīñ nikaltī shām-e-firāq kyuuñ kar

    vo raat thī añdherī rasta na sūjhtā thā

    merī taraf chale tum jab jāñkanī meñ thā maiñ

    duniyā hai ek aatā thā ek rahā thā

    ik tarah musībat hotī to jhel lete

    har shab na.ī zamīñ thī har din falak nayā thā

    afsos hai ki umr-e-fānī ne ḳhatm ho kar

    mujh ko vahī batāyā jis ko maiñ jāntā thā

    DhūñDeñgī ba.ad mere mujh ko charāġh le kar

    vo mahfileñ ki jin meñ 'sāqib' ġhazal-sarā thā

    dil apne ranj-o-gham se jam-e-jahan-numa tha

    ab aap hi bataen achchha tha ya bura tha

    sahra tha ya chaman tha jaane wahi ki kya tha

    is dil ki intiha hai jo muddaton jala tha

    taDpun tu raaz kholun sanblun to ishq na-KHush

    jis haal ko main samjha achchha wahi bura tha

    puchha na zindagi mein yun to kisi ne aa kar

    marne ke baad jo tha wo mujh ko puchhta tha

    shab ko meri sadaen mujh tak palaT ke aain

    nalon ki kya KHata thi jab band rasta tha

    manzil pe jab gira tha thak kar to main ne dekha

    qissa mera zaban-e-alam pe chal raha tha

    jaan-e-hazin nikalti sham-e-firaq kyun kar

    wo raat thi andheri rasta na sujhta tha

    meri taraf chale tum jab jaankani mein tha main

    duniya hai ek aata tha ek ja raha tha

    ek tarah ki musibat hoti to jhel lete

    har shab nai zamin thi har din falak naya tha

    afsos hai ki umr-e-fani ne KHatm ho kar

    mujh ko wahi bataya jis ko main jaanta tha

    DhunDengi baad mere mujh ko charagh le kar

    wo mahfilen ki jin mein 'saqib' ghazal-sara tha

    Source:

    Deewan-e-Saqib (Pg. 177)

    • Author: Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
      • Edition: 1998
      • Publisher: Urdu Acadami U.P.
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now