Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain

Zahiir Ahmad Taaj

dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain

Zahiir Ahmad Taaj

MORE BYZahiir Ahmad Taaj

    dil dekh rahe haiñ vo jigar dekh rahe haiñ

    chhoḌe hue tīroñ asar dekh rahe haiñ

    har roz jafā.eñ haiñ na.ī aur nayā ġham

    sau sau tarah 'āshiq jigar dekh rahe haiñ

    har lamha zamāne hai hañgāma-ba-dāman

    paidā hai qayāmat asar dekh rahe haiñ

    ai gardish-e-daurāñ tire jāñ-soz nazāre

    dekhe nahīñ jaate haiñ magar dekh rahe haiñ

    ham mai-kade meñ ke hue tishna ziyāda

    badlī huī saaqī nazar dekh rahe haiñ

    āshob ai 'tāj' hai ye haal ki har roz

    milte hue miTTī meñ guhar dekh rahe haiñ

    dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain

    chhoDe hue tiron ka asar dekh rahe hain

    har roz jafaen hain nai aur naya gham

    sau sau tarah 'ashiq ka jigar dekh rahe hain

    har lamha zamane ka hai hangama-ba-daman

    paida hai qayamat ka asar dekh rahe hain

    ai gardish-e-dauran tere jaan-soz nazare

    dekhe nahin jate hain magar dekh rahe hain

    hum mai-kade mein ja ke hue tishna ziyaada

    badli hui saqi ki nazar dekh rahe hain

    aashob ka ai 'taj' hai ye haal ki har roz

    milte hue miTTi mein guhar dekh rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now