dil-e-barham ki KHatir muddaa kuchh bhi nahin hota
dil-e-barham kī ḳhātir mudda'ā kuchh bhī nahīñ hotā
'ajab hālat hai ab shikva gila kuchh bhī nahīñ hotā
koī sūrat ubhartī hai na maiñ mismār hotā huuñ
maiñ vo patthar ki jis kā faisla kuchh bhī nahīñ hotā
kisī ko saath le lenā kisī ke saath ho lenā
faqīroñ ke liye achchhā burā kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī dil meñ mire tere sivā har baat hotī hai
kabhī dil meñ mire tere sivā kuchh bhī nahīñ hotā
vahī TuuTī huī kashtī vahī pāgal havā.eñ haiñ
hamāre saath duniyā meñ nayā kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī do chaar qadmoñ kā safar tai ho nahīñ paatā
kabhī mīloñ se lambā fāsla kuchh bhī nahīñ hotā
bazāhir 'umr bhar yuuñ to hazāroñ kaam karte haiñ
haqīqat meñ magar ham ne kiyā kuchh bhī nahīñ hotā
dil-e-barham ki KHatir mudda'a kuchh bhi nahin hota
'ajab haalat hai ab shikwa gila kuchh bhi nahin hota
koi surat ubharti hai na main mismar hota hun
main wo patthar ki jis ka faisla kuchh bhi nahin hota
kisi ko sath le lena kisi ke sath ho lena
faqiron ke liye achchha bura kuchh bhi nahin hota
kabhi dil mein mere tere siwa har baat hoti hai
kabhi dil mein mere tere siwa kuchh bhi nahin hota
wahi TuTi hui kashti wahi pagal hawaen hain
hamare sath duniya mein naya kuchh bhi nahin hota
kabhi do chaar qadmon ka safar tai ho nahin pata
kabhi milon se lamba fasla kuchh bhi nahin hota
bazahir 'umr bhar yun to hazaron kaam karte hain
haqiqat mein magar hum ne kiya kuchh bhi nahin hota
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 65)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.