Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-na-mutmain andesha-e-barq-e-tapan mein hai

Nihal Sevharvi

dil-e-na-mutmain andesha-e-barq-e-tapan mein hai

Nihal Sevharvi

MORE BYNihal Sevharvi

    dil-e-nā-mutma.in andesha-e-barq-e-tapāñ meñ hai

    jo be-tābī qafas meñ thī vahī ab āshiyāñ meñ hai

    mirī be-tābi-e-dil samajh meñ kuchh nahīñ aatā

    ḳhudā jaane tirā harf-e-tasallī kis zabāñ meñ hai

    yahī andāz haiñ to ġham nahīñ kuchh buad-e-manzil

    umañgeñ jaag uThī haiñ zindagī kārvāñ meñ hai

    usī ke raag se gūñjeñge kal rāheñ masarrat

    ye maanā aaj insāñ manzil-e-āh-o-fuġhāñ meñ hai

    koī nisbat nahīñ manzil-rasī ko rah-navardī se

    vo lazzat kāmyābī meñ kahāñ jo imtihāñ meñ hai

    ye taḳhsīs-e-chaman kyā iltijā-e-bāġhbāñ kaisī

    bahut ai himmat-e-parvāz gunjā.ish jahāñ meñ hai

    dil-e-na-mutmain andesha-e-barq-e-tapan mein hai

    jo be-tabi qafas mein thi wahi ab aashiyan mein hai

    meri be-tabi-e-dil ki samajh mein kuchh nahin aata

    KHuda jaane tera harf-e-tasalli kis zaban mein hai

    yahi andaz hain to gham nahin kuchh buad-e-manzil ka

    umangen jag uThi hain zindagi si karwan mein hai

    usi ke rag se gunjenge kal rahen masarrat ki

    ye mana aaj insan manzil-e-ah-o-fughan mein hai

    koi nisbat nahin manzil-rasi ko rah-nawardi se

    wo lazzat kaamyabi mein kahan jo imtihan mein hai

    ye taKHsis-e-chaman kya iltija-e-baghban kaisi

    bahut ai himmat-e-parwaz gunjaish jahan mein hai

    Source:

    Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 900)

    • Author: Dr. Abdul Wahid
      • Publisher: Feroz sons Printers Publishers and Stationers
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now