Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ka safar bas ek hi manzil pe bas nahin

Muneer Niyazi

dil ka safar bas ek hi manzil pe bas nahin

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    dil safar bas ek manzil pe bas nahīñ

    itnā ḳhayāl us hameñ is baras nahīñ

    dekho gul-e-ahār-e-asar dasht-e-shām meñ

    dīvār-o-dar koī bhī kahīñ pesh-o-pas nahīñ

    aayā nahīñ yaqīn bahut der tak hameñ

    apne ghar dar hai ye bāb-e-qafas nahīñ

    aisā safar hai jis koī intihā nahīñ

    aisā makāñ hai jis meñ koī ham-nafas nahīñ

    aa.egī phir bahār isī shahr meñ 'munīr'

    taqdīr is nagar faqat ḳhār-o-ḳhas nahīñ

    dil ka safar bas ek hi manzil pe bas nahin

    itna KHayal us ka hamein is baras nahin

    dekho gul-e-ahaar-e-asar dasht-e-sham mein

    diwar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pas nahin

    aaya nahin yaqin bahut der tak hamein

    apne hi ghar ka dar hai ye bab-e-qafas nahin

    aisa safar hai jis ki koi intiha nahin

    aisa makan hai jis mein koi ham-nafas nahin

    aaegi phir bahaar isi shahr mein 'munir'

    taqdir is nagar ki faqat KHar-o-KHas nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now