Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo

Khalilur Rahman Azmi

dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    dil rah jaa.e na dil meñ ye kahānī kah lo

    chāhe do harf likho chāhe zabānī kah lo

    maiñ ne marne duā māñgī vo puurī na huī

    bas isī ko mire jiine nishānī kah lo

    sarsar-e-vaqt uḌā le ga.ī rūdād-e-hayāt

    vahī aurāq jinheñ ahd-e-javānī kah lo

    jab nahīñ shāḳh-e-chaman par to mirā naam kyā

    barg āvāra kaho barg-e-ḳhizānī kah lo

    tum se kahne na thī baat magar kah baiThā

    ab use merī tabī.at ravānī kah lo

    vahī ik qissa zamāne ko mirā yaad rahā

    vahī ik baat jise aaj purānī kah lo

    ham pe jo guzrī hai bas us ko raqam karte haiñ

    āp-bītī kaho marsiya-ḳhvānī kah lo

    dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo

    chahe do harf likho chahe zabani kah lo

    main ne marne ki dua mangi wo puri na hui

    bas isi ko mere jine ki nishani kah lo

    sarsar-e-waqt uDa le gai rudad-e-hayat

    wahi auraq jinhen ahd-e-jawani kah lo

    jab nahin shaKH-e-chaman par to mera nam hi kya

    barg aawara kaho barg-e-KHizani kah lo

    tum se kahne ki na thi baat magar kah baiTha

    ab use meri tabiat ki rawani kah lo

    wahi ek qissa zamane ko mera yaad raha

    wahi ek baat jise aaj purani kah lo

    hum pe jo guzri hai bas us ko raqam karte hain

    aap-biti kaho ya marsiya-KHwani kah lo

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 82)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now