aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil kasu se to kya lagana tha

Muntazir lakhnavi

dil kasu se to kya lagana tha

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    dil kasū se to kyā lagānā thā

    ham ko manzūr se jaanā thā

    āstāñ thā vo āstāna-e-ishq

    kaaT kar sar jahāñ chaḌhānā thā

    diid ko tere aa.e the ham yaañ

    zindagī faqat bahāna thā

    nikle vo aah apne dushman-e-jāñ

    ham ne jin jin ko dost jaanā thā

    jis zamāne meñ ham hue the ḳhalq

    haa.e vo kyā burā zamāna thā

    kyuuñ diyā us parī ko dil ne

    kyā ai 'muntazir' divāna thā

    dil kasu se to kya lagana tha

    hum ko manzur ji se jaana tha

    aastan tha wo aastana-e-ishq

    kaT kar sar jahan chaDhana tha

    did ko tere aae the hum yan

    zindagi ka faqat bahana tha

    nikle wo aah apne dushman-e-jaan

    hum ne jin jin ko dost jaana tha

    jis zamane mein hum hue the KHalq

    hae wo kya bura zamana tha

    kyun diya us pari ko dil tu ne

    kya tu ai 'muntazir' diwana tha

    Source:

    Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 139)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: 2017
      • Publisher: Rekhta Books
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now