Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko dard-ashna kiya tu ne

Altaf Hussain Hali

dil ko dard-ashna kiya tu ne

Altaf Hussain Hali

MORE BYAltaf Hussain Hali

    dil ko dard-āshnā kiyā ne

    dard-e-dil ko davā kiyā ne

    tab-e-insāñ ko sirisht-e-vafā

    ḳhaak ko kīmiyā kiyā ne

    vasl-e-jānāñ muhāl Thahrāyā

    qatl-e-āshiq ravā kiyā ne

    thā na juz ġham bisāt-e-āshiq meñ

    ġham ko rāhat-fazā kiyā ne

    jaan thī ik vabāl furqat meñ

    shauq ko jāñ-guzā kiyā ne

    thī mohabbat meñ nañg minnat-e-ġhair

    jazb-e-dil ko rasā kiyā ne

    raah zāhid ko jab kahīñ na milī

    dar-e-mai-ḳhāna kiyā ne

    qat.a hone jab lagā paivand

    ġhair ko āshnā kiyā ne

    thī jahāñ kārvāñ ko denī raah

    ishq ko rahnumā kiyā ne

    naav bhar kar jahāñ Dubonī thī

    aql ko nāḳhudā kiyā ne

    baḌh ga.ī jab pidar ko mehr-e-pisar

    us ko us se judā kiyā ne

    jab huā mulk o maal rahzan-e-hosh

    bādshah ko gadā kiyā ne

    jab milī kām-e-jāñ ko lazzat-e-dard

    dard ko be-davā kiyā ne

    jab diyā rāh-rau ko zauq-e-talab

    sa.ī ko nā-rasā kiyā ne

    parda-e-chashm the hijāb bahut

    husn ko ḳhud-numā kiyā ne

    ishq ko tāb-e-intizār na thī

    ġhurfa ik dil meñ kiyā ne

    haram ābād aur dair ḳharāb

    jo kiyā sab bajā kiyā ne

    saḳht afsurda tab.a thī ahbāb

    ham ko jaadū navā kiyā ne

    phir jo dekhā to kuchh na thā rab

    kaun pūchhe ki kyā kiyā ne

    'hālī' uTThā hilā ke mahfil ko

    āḳhir apnā kahā kiyā ne

    dil ko dard-ashna kiya tu ne

    dard-e-dil ko dawa kiya tu ne

    tab-e-insan ko di sirisht-e-wafa

    KHak ko kimiya kiya tu ne

    wasl-e-jaanan muhaal Thahraya

    qatl-e-ashiq rawa kiya tu ne

    tha na juz gham bisat-e-ashiq mein

    gham ko rahat-faza kiya tu ne

    jaan thi ek wabaal furqat mein

    shauq ko jaan-guza kiya tu ne

    thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair

    jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne

    rah zahid ko jab kahin na mili

    dar-e-mai-KHana wa kiya tu ne

    qata hone hi jab laga paiwand

    ghair ko aashna kiya tu ne

    thi jahan karwan ko deni rah

    ishq ko rahnuma kiya tu ne

    naw bhar kar jahan Duboni thi

    aql ko naKHuda kiya tu ne

    baDh gai jab pidar ko mehr-e-pisar

    us ko us se juda kiya tu ne

    jab hua mulk o mal rahzan-e-hosh

    baadshah ko gada kiya tu ne

    jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard

    dard ko be-dawa kiya tu ne

    jab diya rah-rau ko zauq-e-talab

    sai ko na-rasa kiya tu ne

    parda-e-chashm the hijab bahut

    husn ko KHud-numa kiya tu ne

    ishq ko tab-e-intizar na thi

    ghurfa ek dil mein wa kiya tu ne

    haram aabaad aur dair KHarab

    jo kiya sab baja kiya tu ne

    saKHt afsurda taba thi ahbab

    hum ko jadu nawa kiya tu ne

    phir jo dekha to kuchh na tha ya rab

    kaun puchhe ki kya kiya tu ne

    'haali' uTTha hila ke mahfil ko

    aaKHir apna kaha kiya tu ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now