aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi

Haidar Ali Aatish

dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    dil-lagī apnī tire zikr se kis raat na thī

    sub.h tak shaam se yā-hū ke sivā baat na thī

    iltijā tujh se kab ai qibla-e-hājāt na thī

    terī dargāh meñ kis roz munājāt na thī

    ab mulāqāt huī hai to mulāqāt rahe

    na mulāqāt thī jab tak ki mulāqāt na thī

    ġhuncha-e-gul ko na hañsnā thā tirī sūrat se

    chhoTe se muñh sazā-vār baḌī baat na thī

    ibtidā se tujhe maujūd samajhtā thā maiñ

    mire tere kabhī parde mulāqāt na thī

    ai nasīm-e-saharī bahr-e-asīrān-e-qafas

    tohfa-tar nik.hat-e-gul se koī sauġhāt na thī

    un dinoñ ishq rulātā thā hameñ sūrat-e-abr

    kaun fasl thī vo jis meñ ki barsāt na thī

    kyā kahūñ us ke jo mujh par karam-e-pinhāñ the

    zāhirī yaar se har-chand mulāqāt na thī

    apne bāñdhe ho.e gaatī tujhe dekhā phaḌkā

    dilrubā shai thī mirī jaan tirī gaat na thī

    ik meñ mil ga.e ai shāh-savār ahl-e-niyāz

    nāz-e-ma.ashūq thā sun tire laat na thī

    lab ke bose hai inkār ta.ajjub ai yaar

    phere saa.il se jo muñh ko vo tirī zaat na thī

    kamar-e-yār thī az-bas-ki nihāyat nāzuk

    sūjhtī bandish-e-mazmūñ koī ghaat na thī

    un dinoñ hotā thā ghar meñ hamāre shab-bāsh

    roz-e-raushan se kam ai mehr-e-liqā raat na thī

    be-shu.ūroñ ne na samjhā to na samjhā 'ātish'

    nukta-sanjoñ ko latīfa thī tirī baat na thī

    dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi

    subh tak sham se ya-hu ke siwa baat na thi

    iltija tujh se kab ai qibla-e-hajat na thi

    teri dargah mein kis roz munajat na thi

    ab mulaqat hui hai to mulaqat rahe

    na mulaqat thi jab tak ki mulaqat na thi

    ghuncha-e-gul ko na hansna tha teri surat se

    chhoTe se munh ki saza-war baDi baat na thi

    ibtida se tujhe maujud samajhta tha main

    mere tere kabhi parde ki mulaqat na thi

    ai nasim-e-sahari bahr-e-asiran-e-qafas

    tohfa-tar nikhat-e-gul se koi saughat na thi

    un dinon ishq rulata tha hamein surat-e-abr

    kaun si fasl thi wo jis mein ki barsat na thi

    kya kahun us ke jo mujh par karam-e-pinhan the

    zahiri yar se har-chand mulaqat na thi

    apne bandhe hoe gati tujhe dekha phaDka

    dilruba shai thi meri jaan teri gat na thi

    ek mein mil gae ai shah-sawar ahl-e-niyaz

    naz-e-mashuq tha tu sun ki tere lat na thi

    lab ke bose ka hai inkar tajjub ai yar

    phere sail se jo munh ko wo teri zat na thi

    kamar-e-yar thi az-bas-ki nihayat nazuk

    sujhti bandish-e-mazmun ki koi ghat na thi

    un dinon hota tha tu ghar mein hamare shab-bash

    roz-e-raushan se kam ai mehr-e-liqa raat na thi

    be-shuuron ne na samjha to na samjha 'atish'

    nukta-sanjon ko latifa thi teri baat na thi

    Source:

    Kulliyat-e-Khwaja Haidar Ali Aatish (Pg. 313)

    • Author: Haidar Ali Aatish
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now