Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mein ek jazba-e-bedad-o-jafa hi hoga

Akhtar Hoshiyarpuri

dil mein ek jazba-e-bedad-o-jafa hi hoga

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    dil meñ ik jazba-e-bedād-o-jafā hogā

    vo ḳhudā-vand bhī hogā to ḳhudā hogā

    gard uḌtī nazar aatī hai āñdhī hogī

    duur tak naqsh-e-qadam haiñ koī raahī hogā

    ham se jo pūchhnā hai pūchh lo varna kal tak

    kis ko andāza-e-nā-karda-gunāhī hogā

    kahīñ girtī huī dīvāreñ kahīñ jhuktī chhateñ

    aap kahte haiñ to ye qasr-e-vafā hogā

    phuul se tarse hue log ḳharāboñ meñ kahāñ

    dasht-e-vahshat meñ koī ābla-pā hogā

    jaate jaate mire darvāze ke paT khol ga.ī

    ye bhī 'aḳhtar' koī andāz-e-sabā hogā

    dil mein ek jazba-e-bedad-o-jafa hi hoga

    wo KHuda-wand bhi hoga to KHuda hi hoga

    gard si uDti nazar aati hai aandhi hogi

    dur tak naqsh-e-qadam hain koi rahi hoga

    hum se jo puchhna hai puchh lo warna kal tak

    kis ko andaza-e-na-karda-gunahi hoga

    kahin girti hui diwaren kahin jhukti chhaten

    aap kahte hain to ye qasr-e-wafa hi hoga

    phul se tarse hue log KHarabon mein kahan

    dasht-e-wahshat mein koi aabla-pa hi hoga

    jate jate mere darwaze ke paT khol gai

    ye bhi 'aKHtar' koi andaz-e-saba hi hoga

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 434)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now