Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil mohabbat makan hai goya

Qurban Ali Salik Beg

dil mohabbat makan hai goya

Qurban Ali Salik Beg

MORE BYQurban Ali Salik Beg

    dil mohabbat makān hai goyā

    aarzū jahān hai goyā

    ḳhaak meñ mil chuke ham aur is ko

    aaj tak bhī gumān hai goyā

    mere āzār dene ko vo shoḳh

    dūsrā āsmān hai goyā

    khol de muñh ḳhumoñ ke pīr-e-muġhāñ

    aaj imtihān hai goyā

    paañv aage na uTh sake vaañ se

    us galī nishān hai goyā

    terī tasvīr kyuuñ na bol uThe

    is meñ āshiq jaan hai goyā

    terā chup chup ye baiThnā 'sālik'

    ik tarah bayān hai goyā

    dil mohabbat makan hai goya

    aarzu ka jahan hai goya

    KHak mein mil chuke hum aur is ko

    aaj tak bhi guman hai goya

    mere aazar dene ko wo shoKH

    dusra aasman hai goya

    khol de munh KHumon ke pir-e-mughan

    aaj hi imtihan hai goya

    panw aage na uTh sake wan se

    us gali ka nishan hai goya

    teri taswir kyun na bol uThe

    is mein aashiq ki jaan hai goya

    tera chup chup ye baiThna 'salik'

    ek tarah ka bayan hai goya

    Source:

    Kulliyat-e-Saalik (Pg. e-213 p-181)

    • Author: Mirza Qurban Ali Salik Beg
      • Edition: 1966
      • Publisher: Imtiyaz Ali Taj,Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now