Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen

Moin Ahsan Jazbi

dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen

Moin Ahsan Jazbi

MORE BYMoin Ahsan Jazbi

    dil sard ho to lab-e-guftār kyā kareñ

    mansūr kyā baneñ havas-e-dār kyā kareñ

    ab kyā sunā.eñ yūsuf o zindāñ dāstāñ

    phir garm jins-e-dard bāzār kyā kareñ

    vo sāġhar-e-nashāt ho jām-e-zahr-e-ġham

    saaqī ne jab diyā ho to inkār kyā kareñ

    dekhe na apne saath jo koī to kyā dikhā.eñ

    samjhe na koī baat to isrār kyā kareñ

    'jazbī' nigāh meñ hai barahana-sirī shaan

    ham ehtirām-e-turra-e-dastār kyā kareñ

    dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen

    mansur kya banen hawas-e-dar kya karen

    ab kya sunaen yusuf o zindan ki dastan

    phir garm jins-e-dard ka bazar kya karen

    wo saghar-e-nashat ho ya jam-e-zahr-e-gham

    saqi ne jab diya ho to inkar kya karen

    dekhe na apne sath jo koi to kya dikhaen

    samjhe na koi baat to israr kya karen

    'jazbi' nigah mein hai barahana-siri ki shan

    hum ehtiram-e-turra-e-dastar kya karen

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Moin Ahsan Jazbi

    Moin Ahsan Jazbi

    RECITATIONS

    Moin Ahsan Jazbi

    Moin Ahsan Jazbi,

    Moin Ahsan Jazbi

    dil sard ho to wa lab-e-guftar kya karen Moin Ahsan Jazbi

    Source:

    Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 152)

    • Author: Moin Ahsan Jazbi
      • Edition: 2006
      • Publisher: Sahitya Academy, New Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now