Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil se har dam hamein aawaz laga aati hai

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

dil se har dam hamein aawaz laga aati hai

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    dil se har dam hameñ āvāz lagā aatī hai

    band kānoñ ko bhī girye sadā aatī hai

    dil se hai aañkh tak aa.ī asar-e-garmī-e-shauq

    ashk-e-hasrat se nigah ābla-pā aatī hai

    gul huā koī charāġh-e-saharī o bulbul

    haath maltī huī pattoñ se sabā aatī hai

    terī āñkhoñ huuñ bīmār maiñ o īsā-dam

    na duā aatī hai mujh ko na davā aatī hai

    aa.ina saaf sikandar ko dikhāyā ne

    ḳhuub ai ḳhizr tujhe raah banā aatī hai

    chhū liyā dhoke se dāmān-e-sabā ne to kyā

    ġhuncha-e-gul kahīñ muTThī meñ havā aatī hai

    jis qadar vasl-e-butāñ tumheñ rahtā hai firāq

    ai 'nasīm' itnī kabhī yād-e-ḳhudā aatī hai

    dil se har dam hamein aawaz laga aati hai

    band kanon ko bhi girye ki sada aati hai

    dil se hai aankh tak aai asar-e-garmi-e-shauq

    ashk-e-hasrat se nigah aabla-pa aati hai

    gul hua koi charagh-e-sahari o bulbul

    hath malti hui patton se saba aati hai

    teri aankhon ka hun bimar main o isa-dam

    na dua aati hai mujh ko na dawa aati hai

    aaina saf sikandar ko dikhaya tu ne

    KHub ai KHizr tujhe rah bana aati hai

    chhu liya dhoke se daman-e-saba tu ne to kya

    ghuncha-e-gul kahin muTThi mein hawa aati hai

    jis qadar wasl-e-butan ka tumhein rahta hai firaq

    ai 'nasim' itni kabhi yaad-e-KHuda aati hai

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 34)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now