aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil shadman ho KHuld ki bhi aarzu na ho

Heera Lal Falak Dehlvi

dil shadman ho KHuld ki bhi aarzu na ho

Heera Lal Falak Dehlvi

MORE BYHeera Lal Falak Dehlvi

    dil shādmāñ ho ḳhuld bhī aarzū na ho

    gar mile ḳhudā mujhe justujū na ho

    āñkheñ tujhe na paa.eñ to kuchh bhī na sakeñ

    gar na ho to kuchh bhī mire rū-ba-rū na ho

    chubhtī huī kahe hai zabāñ se har ek baat

    ḳhuub hai jo talḳh tirī guftugū na ho

    uThtī nahīñ nigāh bhī ai dil tire sabab

    kis se mujhe shikast ho dushman jo na ho

    mahbūb gar mile to mile vo nasīb se

    lutf-o-karam na ho to sitam bhī ḳhū na ho

    har ḳhūb-rū ho shoḳh-adā aur vafā-shi.ār

    kis kaam hai phuul agar rañg-o-bū na ho

    izzat bhī ek chiiz hai duniyā meñ ai 'falak'

    us ghar na jahāñ ki tirī aabrū na ho

    dil shadman ho KHuld ki bhi aarzu na ho

    gar tu mile KHuda ki mujhe justuju na ho

    aankhen tujhe na paen to kuchh bhi na pa saken

    gar tu na ho to kuchh bhi mere ru-ba-ru na ho

    chubhti hui kahe hai zaban se har ek baat

    tu KHub hai jo talKH teri guftugu na ho

    uThti nahin nigah bhi ai dil tere sabab

    kis se mujhe shikast ho dushman jo tu na ho

    mahbub gar mile to mile wo nasib se

    lutf-o-karam na ho to sitam ki bhi KHu na ho

    har KHub-ru ho shoKH-ada aur wafa-shiar

    kis kaam ka hai phul agar rang-o-bu na ho

    izzat bhi ek chiz hai duniya mein ai 'falak'

    us ghar na ja jahan ki teri aabru na ho

    Source:

    Harf-o-sada (Pg. 75)

    • Author: Hira lal Falak Dehlvi
      • Edition: 1982
      • Publisher: Hira lal Falak Dehlvi
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now