Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil tamasha hai tamasha-gar nahin hai yar ji

Faysal sahib

dil tamasha hai tamasha-gar nahin hai yar ji

Faysal sahib

MORE BYFaysal sahib

    dil tamāsha hai tamāshā-gar nahīñ hai yaar

    so zabāñ bhī chup rahe behtar nahīñ hai yaar

    ham jahāñ jis baat par majbūr haiñ āmīn hai

    aap ko apne ḳhudā Dar nahīñ hai yaar

    dastakoñ ke ḳhauf tak to baat aa.egī nahīñ

    ham haiñ vo dīvār jis dar nahīñ hai yaar

    ek markaz aap haiñ jis bane ham dā.era

    apnā koī dūsrā mehvar nahīñ hai yaar

    rāste be-samt haiñ so manziloñ fikr kar

    kārvāñ koī bhī rahbar nahīñ hai yaar

    muflisī meñ ḳhvāb hoñ to ḳhaak achchhī baat hai

    dekh kar hai faisla sun kar nahīñ hai haar

    ik zamāna do farishte laakh 'sāhib' saath hoñ

    kam lagegī kul ḳhudā.ī gar nahīñ hai yaar

    dil tamasha hai tamasha-gar nahin hai yar ji

    so zaban bhi chup rahe behtar nahin hai yar ji

    hum jahan jis baat par majbur hain aamin hai

    aap ko apne KHuda ka Dar nahin hai yar ji

    dastakon ke KHauf tak to baat aaegi nahin

    hum hain wo diwar jis ka dar nahin hai yar ji

    ek markaz aap hain jis ka bane hum daera

    apna koi dusra mehwar nahin hai yar ji

    raste be-samt hain so manzilon ki fikr kar

    karwan ka koi bhi rahbar nahin hai yar ji

    muflisi mein KHwab hon to KHak achchhi baat hai

    dekh kar hai faisla sun kar nahin hai haar ji

    ek zamana do farishte lakh 'sahib' sath hon

    kam lagegi kul KHudai gar nahin hai yar ji

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now