Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dildar milenge yahan gham-KHwar milenge

Abdul Majeed Khan Majeed

dildar milenge yahan gham-KHwar milenge

Abdul Majeed Khan Majeed

MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed

    dildār mileñge yahāñ ġham-ḳhvār mileñge

    sachchā.ī ke lekin na taraf-dār mileñge

    armān-bhare dil ko ḳharīdegā yahāñ kaun

    kahne ko to duniyā meñ ḳharīdār mileñge

    pāband-e-vafā dost to mushkil se milegā

    yuuñ chāhne vaale sar-e-bāzār mileñge

    ai urdu zabāñ aah tirī kaun sunegā

    yuuñ to sabhī ġhazloñ ke parastār mileñge

    is shahr-e-sitam meñ agar DhūñDeñge 'majīd' aap

    mushkil se kahīñ sāhab-e-kirdār mileñge

    dildar milenge yahan gham-KHwar milenge

    sachchai ke lekin na taraf-dar milenge

    arman-bhare dil ko KHaridega yahan kaun

    kahne ko to duniya mein KHaridar milenge

    paband-e-wafa dost to mushkil se milega

    yun chahne wale sar-e-bazar milenge

    ai urdu zaban aah teri kaun sunega

    yun to sabhi ghazlon ke parastar milenge

    is shahr-e-sitam mein agar DhunDenge 'majid' aap

    mushkil se kahin sahab-e-kirdar milenge

    Source:

    (Pg. 113)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now