Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din hai bhaari gham-e-furqat ke giraftaron par

Aal-e-Raza Raza

din hai bhaari gham-e-furqat ke giraftaron par

Aal-e-Raza Raza

MORE BYAal-e-Raza Raza

    din hai bhārī ġham-e-furqat ke giraftāroñ par

    raat kaTtī hai dahakte hue angāroñ par

    husn vāloñ ḳhudā.ī hai ḳhudā.ī barham

    kis ko rahm aa.e mohabbat ke gunah-gāroñ par

    phūñk de barq nasheman ko chamak kar na Darā.e

    āñkheñ ab rakkhī nahīñ jaatī haiñ angāroñ par

    dil qīmat nahīñ koī ki yahī ek hai dil

    maiñ ne ḳhud chhoḌ diyā mol ḳharīdāroñ par

    āshiqī ko jo gadā.ī se milāyā na 'razā'

    to ra.ūnat bhī ilzām hai ḳhuddāroñ par

    din hai bhaari gham-e-furqat ke giraftaron par

    raat kaTti hai dahakte hue angaron par

    husn walon ki KHudai hai KHudai barham

    kis ko rahm aae mohabbat ke gunah-garon par

    phunk de barq nasheman ko chamak kar na Darae

    aankhen ab rakkhi nahin jati hain angaron par

    dil ki qimat nahin koi ki yahi ek hai dil

    main ne KHud chhoD diya mol KHaridaron par

    aashiqi ko jo gadai se milaya na 'raza'

    to raunat ka bhi ilzam hai KHuddaron par

    Source:

    Ghazal-e-Mualla (Pg. 77)

    • Author: Aal-e-Raza Raza
      • Publisher: Maktaba Aasfiay, Karachi
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now