Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ho ki ho wo raat abhi kal ki baat hai

Firoz Natiq Khusro

din ho ki ho wo raat abhi kal ki baat hai

Firoz Natiq Khusro

MORE BYFiroz Natiq Khusro

    din ho ki ho vo raat abhī kal baat hai

    hotī thī un se baat abhī kal baat hai

    jhapkī idhar palak vo udhar ho ga.e havā

    jo the hamāre saath abhī kal baat hai

    the eqtidār meñ to zamāna thā apne gird

    logoñ thī barāt abhī kal baat hai

    phir aa ga.e bisāt pe mohre piTe hue

    khaa.ī thī ham se maat abhī kal baat hai

    vo gul thā Daal Daal to gulshan meñ juuñ sabā

    ham bhī the paat paat abhī kal baat hai

    jo shaḳhs aaj sañg-e-malāmat hai hadaf

    thī mohtaram vo zaat abhī kal baat hai

    'ḳhusrav' the us ke halqa-bagoshoñ meñ aap bhī

    hāthoñ meñ Daale haath abhī kal baat hai

    din ho ki ho wo raat abhi kal ki baat hai

    hoti thi un se baat abhi kal ki baat hai

    jhapki idhar palak wo udhar ho gae hawa

    jo the hamare sath abhi kal ki baat hai

    the eqtidar mein to zamana tha apne gird

    logon ki thi baraat abhi kal ki baat hai

    phir aa gae bisat pe mohre piTe hue

    khai thi hum se mat abhi kal ki baat hai

    wo gul tha Dal Dal to gulshan mein jun saba

    hum bhi the pat pat abhi kal ki baat hai

    jo shaKHs aaj sang-e-malamat ka hai hadaf

    thi mohtaram wo zat abhi kal ki baat hai

    'KHusraw' the us ke halqa-bagoshon mein aap bhi

    hathon mein Dale hath abhi kal ki baat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now