Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din mein charagh-e-sham jalaya tha un dinon

Aireen Farhat

din mein charagh-e-sham jalaya tha un dinon

Aireen Farhat

MORE BYAireen Farhat

    din meñ charāġh-e-shām jalāyā thā un dinoñ

    ik shaḳhs mere shahr meñ aayā thā un dinoñ

    merā bhī haal un dinoñ kuchh thā ajiib

    us bhī dil kisī ne dukhāyā thā un dinoñ

    sikke kisī yaad ke āñchal meñ bhar liye

    chhan-chhan unheñ bhī ḳhuub hilāyā thā un dinoñ

    kab tak rahegī bebasī arbāb-e-iḳhtiyār

    ham ne bhī ye savāl uThāyā thā un dinoñ

    āsāñ nahīñ ye rāste dushvār haiñ bahut

    ai ishq tujh ko ham ne batāyā thā un dinoñ

    apnī ġhazal se ik taraf chup-chāp rakh liyā

    vo sher bas use sunāyā thā un dinoñ

    kuchh log pūchhte rahe ye chup kyuuñ lagī

    mujh par tumhārī yaad saayā thā un dinoñ

    din mein charagh-e-sham jalaya tha un dinon

    ek shaKHs mere shahr mein aaya tha un dinon

    mera bhi haal un dinon kuchh tha ajib sa

    us ka bhi dil kisi ne dukhaya tha un dinon

    sikke kisi ki yaad ke aanchal mein bhar liye

    chhan-chhan unhen bhi KHub hilaya tha un dinon

    kab tak rahegi bebasi arbab-e-iKHtiyar

    hum ne bhi ye sawal uThaya tha un dinon

    aasan nahin ye raste dushwar hain bahut

    ai ishq tujh ko hum ne bataya tha un dinon

    apni ghazal se ek taraf chup-chap rakh liya

    wo sher bas use hi sunaya tha un dinon

    kuchh log puchhte rahe ye chup si kyun lagi

    mujh par tumhaari yaad ka saya tha un dinon

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now