Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diya jo saqi ne saghar-e-mai dikha ke aan ek hamein labaalab

Nazeer Akbarabadi

diya jo saqi ne saghar-e-mai dikha ke aan ek hamein labaalab

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    diyā jo saaqī ne sāġhar-e-mai dikhā ke aan ik hameñ labālab

    agarche mai-kash to ham na.e the pa lab pe rakhte ga.e sab

    chale haiñ dene ko ham jise dil vo hañs ke le le bas ab hameñ to

    yahī hai ḳhvāhish yahī tamannā yahī hai maqsad yahī hai matlab

    kabhī jo aate haiñ dekhne ham to aap tevrī ko haiñ chaḌhāte

    jo har-dam aaveñ to kiije ḳhafgī miyāñ ham aate haiñ aise kab kab

    na thī ham ne ye mai to jab tak 'nazīr' ham meñ thā dīn-o-īmāñ

    lagā laboñ se vo jaam phir to kahāñ diin aur kahāñ maz.hab

    diya jo saqi ne saghar-e-mai dikha ke aan ek hamein labaalab

    agarche mai-kash to hum nae the pa lab pe rakhte hi pi gae sab

    chale hain dene ko hum jise dil wo hans ke le le bas ab hamein to

    yahi hai KHwahish yahi tamanna yahi hai maqsad yahi hai matlab

    kabhi jo aate hain dekhne hum to aap tewri ko hain chaDhate

    jo har-dam aawen to kije KHafgi miyan hum aate hain aise kab kab

    na pi thi hum ne ye mai to jab tak 'nazir' hum mein tha din-o-iman

    laga labon se wo jam phir to kahan ka din aur kahan ka mazhab

    Source:

    Deewan-e-Nazeer Akbarabadi (Pg. page-32 ebook-75)

      • Edition: 1942
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now