Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do pyalon mein abhi sarshaar ho jata hun aa saqi

Ishq Aurangabadi

do pyalon mein abhi sarshaar ho jata hun aa saqi

Ishq Aurangabadi

MORE BYIshq Aurangabadi

    do pyāloñ meñ abhī sarshār ho jaatā huuñ aa saaqī

    apne jām-e-chashm-e-mast ko gardish meñ saaqī

    hai dil meñ ho ke sar-ḳhush kiije tere jām-o-mīnā ke

    ravā mastoñ ke mashrab meñ jo ho mad.h-o-sanā saaqī

    maiñ us ke nargis-e-mai-gūñ kaifiyyat ko paayā huuñ

    hai us chashm jām-e-mai aur us har adā saaqī

    zamīñ par 'ishq' niiñ jhuktā hai bad-mastī hālat se

    ye sajda biich kartā hai tujh haq meñ duā saaqī

    do pyalon mein abhi sarshaar ho jata hun aa saqi

    tu apne jam-e-chashm-e-mast ko gardish mein la saqi

    hai dil mein ho ke sar-KHush kije tere jam-o-mina ke

    rawa maston ke mashrab mein jo ho madh-o-sana saqi

    main us ke nargis-e-mai-gun ki kaifiyyat ko paya hun

    hai us ki chashm jam-e-mai aur us ki har ada saqi

    zamin par 'ishq' nin jhukta hai bad-masti ki haalat se

    ye sajda bich ja karta hai tujh haq mein dua saqi

    Source:

    Deewan-e-Ishq(Rekhta Website) (Pg. 107)

      • Publisher: Idara-e-Adabiyat-e-Urdu, Hyderabad
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now