Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh bahut hain zindagi mein kya karenge hum

Mahboob Khizan

dukh bahut hain zindagi mein kya karenge hum

Mahboob Khizan

MORE BYMahboob Khizan

    dukh bahut haiñ zindagī meñ kyā kareñge ham

    vo jo terā farz thā adā kareñge ham

    din ko itne kaam kis tarah karegā kaun

    raat bhar to jāgte rahā kareñge ham

    aadhī umr kaT ga.ī ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ

    sher sab kaheñge aur sunā kareñge ham

    dukh bahut hain zindagi mein kya karenge hum

    wo jo tera farz tha ada karenge hum

    din ko itne kaam kis tarah karega kaun

    raat bhar to jagte raha karenge hum

    aadhi umr kaT gai KHayal-o-KHwab mein

    sher sab kahenge aur suna karenge hum

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 623)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now