Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh diya hai jis ne dukh usko batana chahiye

Abdul Mannan Tarzi

dukh diya hai jis ne dukh usko batana chahiye

Abdul Mannan Tarzi

MORE BYAbdul Mannan Tarzi

    dukh diyā hai jis ne dukh us ko batānā chāhiye

    dil pe kyā guzrī hai mere ye sunānā chāhiye

    is añdhere ko bahar-sūrat miTānā chāhiye

    kuchh nahīñ to ab charāġh-e-dil jalānā chāhiye

    farq-e-ḳhās-o-ām rindoñ meñ na ai saaqī rahe

    mai-kada meñ daur ek aisā bhī aana chāhiye

    dekh kar jis ko haqīqat rashk par majbūr ho

    yuuñ tasavvur tarah paikar banānā chāhiye

    bārgāh-e-mīr-o-sultāñ meñ rasā.ī ho na ho

    dostoñ ke dil meñ ai 'tarzī' samānā chāhiye

    dukh diya hai jis ne dukh us ko batana chahiye

    dil pe kya guzri hai mere ye sunana chahiye

    is andhere ko bahar-surat miTana chahiye

    kuchh nahin to ab charagh-e-dil jalana chahiye

    farq-e-KHas-o-am rindon mein na ai saqi rahe

    mai-kada mein daur ek aisa bhi aana chahiye

    dekh kar jis ko haqiqat rashk par majbur ho

    yun tasawwur ki tarah paikar banana chahiye

    bargah-e-mir-o-sultan mein rasai ho na ho

    doston ke dil mein ai 'tarzi' samana chahiye

    Source:

    (Pg. 89)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now