Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya mein qasr-o-aiwan be-faeda banaya

Shad Lakhnavi

duniya mein qasr-o-aiwan be-faeda banaya

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    duniyā meñ qasr-o-aivāñ be-fā.eda banāyā

    uqbā inheñ banā.ī mun.im to kyā banāyā

    jo unsurī gharauñdā pe chaukhaTā banāyā

    ik dam meñ vo bashar bigḌā banā banāyā

    zulfoñ meñ tā.ir-e-jāñ jis ne phañsā banāyā

    tan ko qafas ragoñ ko ik jaal banāyā

    soz-e-ġham-o-alam se bah jā.ūñ shamma-sāñ jo

    ai sho.ala-rū mujhe bhī kyā mom banāyā

    naqshe pe khiñch sakā jab maanī se dil-jaloñ

    jis makān-e-dil thā ātish-kada banāyā

    bahr-e-jahāñ meñ jis dam pahuñchī numūd-e-insāñ

    paanī ne sar uThā ke ik bulbulā banāyā

    pahnā kafan utārā hastī ke pairahan ko

    pheñkā libās-e-kohna jaama nayā banāyā

    ḳhāliq ne jab kahā ḳhalq abrū ke bismiloñ

    gardan mirī banā.ī ḳhanjar tirā banāyā

    chal kar sabā sūrat ḳhandāñ kiyā guloñ ko

    ġhunchoñ muñh bigāḌā jab muñh zarā banāyā

    shīshagarī pe nāzāñ be-kār shīsha-gar haiñ

    koī bhī dil kisī TuuTā huā banāyā

    aahoñ ke kūdkoñ ne chhalnī kiyā yahāñ tak

    saqf-e-falak ko chhattā zambūr banāyā

    shān-e-ḳhudā ayaañ hai har but se mai-kade meñ

    ka.abe meñ tum ne kar ai 'shād' kyā banāyā

    duniya mein qasr-o-aiwan be-faeda banaya

    uqba inhen banai munim to kya banaya

    jo unsuri gharaunda pe chaukhaTa banaya

    ek dam mein wo bashar ka bigDa bana banaya

    zulfon mein tair-e-jaan jis ne phansa banaya

    tan ko qafas ragon ko ek jal sa banaya

    soz-e-gham-o-alam se bah jaun shamma-san jo

    ai shoala-ru mujhe bhi kya mom ka banaya

    naqshe pe khinch saka jab mani se dil-jalon ka

    jis ja makan-e-dil tha aatish-kada banaya

    bahr-e-jahan mein jis dam pahunchi numud-e-insan

    pani ne sar uTha ke ek bulbula banaya

    pahna kafan utara hasti ke pairahan ko

    phenka libas-e-kohna jama naya banaya

    KHaliq ne jab kaha KHalq abru ke bismilon ka

    gardan meri banai KHanjar tera banaya

    chal kar saba ki surat KHandan kiya gulon ko

    ghunchon ka munh bigaDa jab munh zara banaya

    shishagari pe nazan be-kar shisha-gar hain

    koi bhi dil kisi ka TuTa hua banaya

    aahon ke kudkon ne chhalni kiya yahan tak

    saqf-e-falak ko chhatta zambur ka banaya

    shan-e-KHuda ayan hai har but se mai-kade mein

    kabe mein tum ne ja kar ai 'shad' kya banaya

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-3 e-9 pdf-10)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now