Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya se alag humne maiKHane ka dar dekha

Riyaz Khairabadi

duniya se alag humne maiKHane ka dar dekha

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    duniyā se alag ham ne maiḳhāne dar dekhā

    maiḳhāne dar dekhā allāh ghar dekhā

    goshe se nasheman ke aahoñ asar dekhā

    sayyād ghar jalte be-barq-o-sharar dekhā

    donoñ ke maze luuTe donoñ asar dekhā

    allāh ghar dekhā maiḳhāne dar dekhā

    yuuñ hashr meñ saireñ kiiñ firdaus-o-jahannam

    kuchh der udhar dekhā kuchh der udhar dekhā

    ai shaiḳh vo ka.aba ho ho dar-e-mai-ḳhāna

    ne mujhe jab dekhā sajde meñ sar dekhā

    naala hameñ karnā thā dam ishq bharnā thā

    sau rañg se marnā thā har rañg se mar dekhā

    jab mauj ubhartī hai kahtī hai vo shoḳhī se

    baazū meñ bat-e-mai ke surḳhāb par dekhā

    Tāñke diye jaate haiñ kyuuñ lab siye jaate haiñ

    hañsne mazā ne ai zaḳhm-e-jigar dekhā

    nisbat nahīñ mujh ko kuchh bekas ke bujhe dil se

    bujhte hue tujh ko bhī aa.e sham-e-sahar dekhā

    sahme hue baiThe haiñ kho.e hue baiThe haiñ

    jis raat ke armāñ the us raat ko Dar dekhā

    phal phuul nahīñ laate ye bāġh-e-mohabbat meñ

    har naḳhl-e-tamannā ko be-barg-o-samar dekhā

    ka.abe meñ nazar aa.e jo sub.h azaañ dete

    maiḳhāne meñ rātoñ ko un bhī guzar dekhā

    kuchh kaam nahīñ mai se go ishq hai us shai se

    maiñ riñd 'riyāz' aise dāman bhī na tar dekhā

    duniya se alag hum ne maiKHane ka dar dekha

    maiKHane ka dar dekha allah ka ghar dekha

    goshe se nasheman ke aahon ka asar dekha

    sayyaad ka ghar jalte be-barq-o-sharar dekha

    donon ke maze luTe donon ka asar dekha

    allah ka ghar dekha maiKHane ka dar dekha

    yun hashr mein sairen kin firdaus-o-jahannam ki

    kuchh der udhar dekha kuchh der udhar dekha

    ai shaiKH wo kaba ho ya ho dar-e-mai-KHana

    tu ne mujhe jab dekha sajde hi mein sar dekha

    nala hamein karna tha dam ishq ka bharna tha

    sau rang se marna tha har rang se mar dekha

    jab mauj ubharti hai kahti hai wo shoKHi se

    bazu mein bat-e-mai ke surKHab ka par dekha

    Tanke diye jate hain kyun lab siye jate hain

    hansne ka maza tu ne ai zaKHm-e-jigar dekha

    nisbat nahin mujh ko kuchh bekas ke bujhe dil se

    bujhte hue tujh ko bhi aae sham-e-sahar dekha

    sahme hue baiThe hain khoe hue baiThe hain

    jis raat ke arman the us raat ko Dar dekha

    phal phul nahin late ye bagh-e-mohabbat mein

    har naKHl-e-tamanna ko be-barg-o-samar dekha

    kabe mein nazar aae jo subh azan dete

    maiKHane mein raaton ko un ka bhi guzar dekha

    kuchh kaam nahin mai se go ishq hai us shai se

    main rind 'riyaz' aise daman bhi na tar dekha

    Source:

    Riyaz Rizwan (Pg. e-219 p-81)

    • Author: Niyaz Ahmad
      • Edition: 1938
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now