aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe hum jaan-e-tamanna kahte hain

Akhtar Azad

duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe hum jaan-e-tamanna kahte hain

Akhtar Azad

MORE BYAkhtar Azad

    duniyā tujhe chāhe kuchh bhī kahe ham jān-e-tamannā kahte haiñ

    ham terī nazar meñ ġhair sahī phir bhī tujhe apnā kahte haiñ

    phūloñ meñ misl-e-gulāb hai tāroñ meñ hasīñ mahtāb hai

    sab se achchhā lagtā hai tujhe sab se achchhā kahte haiñ

    dilbar hai dil-dār hai jān-o-dil se pyārā hai

    fitrat ne jis ko sañvārā hai tujhe husn sarāpā kahte haiñ

    koī ishq tujh ko jaan kahe koī dil tujhe armān kahe

    dil vāloñ is bastī meñ tujhe aur bhī kyā kyā kahte haiñ

    pal-bhar ke liye ārām nahīñ ab us ke sivā koī kaam nahīñ

    tirī sūrat dekhā karte haiñ tujh ko ā.īna kahte haiñ

    laakh chhupā.e ishq magar chehre se ayaañ ho jaatā hai

    kahne vaale to duniyā meñ mujhe aaj bhī terā kahte haiñ

    duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe hum jaan-e-tamanna kahte hain

    hum teri nazar mein ghair sahi phir bhi tujhe apna kahte hain

    phulon mein misl-e-gulab hai tu taron mein hasin mahtab hai tu

    tu sab se achchha lagta hai tujhe sab se achchha kahte hain

    tu dilbar hai dil-dar hai tu tu jaan-o-dil se pyara hai

    fitrat ne jis ko sanwara hai tujhe husn sarapa kahte hain

    koi ishq ki tujh ko jaan kahe koi dil ka tujhe arman kahe

    dil walon ki is basti mein tujhe aur bhi kya kya kahte hain

    pal-bhar ke liye aaram nahin ab us ke siwa koi kaam nahin

    teri surat dekha karte hain tujh ko aaina kahte hain

    tu lakh chhupae ishq magar chehre se ayan ho jata hai

    kahne wale to duniya mein mujhe aaj bhi tera kahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now