duniya walon ki haqiqat samne jab aa gai
duniyā vāloñ kī haqīqat sāmne jab aa ga.ī
bā-ḳhudā insāniyat bhī dekh ke sharmā ga.ī
marhale ko hī bhalā manzil samajh ke ruk ga.e
rāhgīroñ kī nazar kis taur dhokā khā ga.ī
chaḌh ga.e haiñ sūliyoñ par be-gunāhoñ ke badan
vaqt kī zālim havā kaisī qayāmat Dhā ga.ī
mil rahā behad sukūñ dil ko mire is baat se
merī hastī dūsroñ ke kaam āḳhir aa ga.ī
duniya walon ki haqiqat samne jab aa gai
ba-KHuda insaniyat bhi dekh ke sharma gai
marhale ko hi bhala manzil samajh ke ruk gae
rahgiron ki nazar kis taur dhoka kha gai
chaDh gae hain suliyon par be-gunahon ke badan
waqt ki zalim hawa kaisi qayamat Dha gai
mil raha behad sukun dil ko mere is baat se
meri hasti dusron ke kaam aaKHir aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.