aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho

Ahmad Faraz

jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    jis samt bhī dekhūñ nazar aatā hai ki tum ho

    ai jān-e-jahāñ ye koī tum hai ki tum ho

    ye ḳhvāb hai ḳhushbū hai ki jhoñkā hai ki pal hai

    ye dhund hai bādal hai ki saayā hai ki tum ho

    is diid saa.at meñ ka.ī rañg haiñ larzāñ

    maiñ huuñ ki koī aur hai duniyā hai ki tum ho

    dekho ye kisī aur āñkheñ haiñ ki merī

    dekhūñ ye kisī aur chehra hai ki tum ho

    ye umr-e-gurezāñ kahīñ Thahre to ye jānūñ

    har saañs meñ mujh ko yahī lagtā hai ki tum ho

    har bazm meñ mauzū-e-suḳhan dil-zadagāñ

    ab kaun hai shīrīñ hai ki lailā hai ki tum ho

    ik dard phailā huā sahrā hai ki maiñ huuñ

    ik mauj meñ aayā huā dariyā hai ki tum ho

    vo vaqt na aa.e ki dil-e-zār bhī soche

    is shahr meñ tanhā koī ham hai ki tum ho

    ābād ham āshufta-saroñ se nahīñ maqtal

    ye rasm abhī shahr meñ zinda hai ki tum ho

    ai jān-e-'farāz' itnī bhī taufīq kise thī

    ham ko ġham-e-hastī bhī gavārā hai ki tum ho

    jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho

    ai jaan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho

    ye KHwab hai KHushbu hai ki jhonka hai ki pal hai

    ye dhund hai baadal hai ki saya hai ki tum ho

    is did ki saat mein kai rang hain larzan

    main hun ki koi aur hai duniya hai ki tum ho

    dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri

    dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho

    ye umr-e-gurezan kahin Thahre to ye jaanun

    har sans mein mujh ko yahi lagta hai ki tum ho

    har bazm mein mauzu-e-suKHan dil-zadagan ka

    ab kaun hai shirin hai ki laila hai ki tum ho

    ek dard ka phaila hua sahra hai ki main hun

    ek mauj mein aaya hua dariya hai ki tum ho

    wo waqt na aae ki dil-e-zar bhi soche

    is shahr mein tanha koi hum sa hai ki tum ho

    aabaad hum aashufta-saron se nahin maqtal

    ye rasm abhi shahr mein zinda hai ki tum ho

    ai jaan-e-'faraaz' itni bhi taufiq kise thi

    hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Vatsala Mehra

    Vatsala Mehra

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Nomaan Shauque

    jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho Nomaan Shauque

    Javed Naseem

    Jis samt bhi dekhun nazar ata hai ki tum ho -Ahmad Faraz Javed Naseem

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now