Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kahan waqt ki moDenge inan aur taraf

Shaanul Haq Haqqi

wo kahan waqt ki moDenge inan aur taraf

Shaanul Haq Haqqi

MORE BYShaanul Haq Haqqi

    vo kahāñ vaqt ki moḌeñge inaañ aur taraf

    dil kisī aur taraf hai to zabāñ aur taraf

    haiñ abhī ahl-e-havas sūd-o-ziyāñ ke asiir

    pherte haiñ yūñhī bātoñ se gumāñ aur taraf

    āh-e-sozāñ ko mirī dekh na dekhā hogā

    ki havā aur taraf ho dhuāñ aur taraf

    ruḳh rahā tā-ba-sahar aur jānib apnā

    aur thā matla-e-anvār-fashāñ aur taraf

    baiTh kar rū-ba-qazā ḳhush haiñ ki goyā ham ne

    moḌ Daalī hai zamāne inaañ aur taraf

    yuuñ palaT jaatī haiñ har lahza vo nazreñ jaise

    joḌ kar tiir ko khiñchtī hai kamāñ aur taraf

    chāhiye baaġh ko bas ek lahū chhīñTā

    aan aan meñ jaatī hai ḳhizāñ aur taraf

    wo kahan waqt ki moDenge inan aur taraf

    dil kisi aur taraf hai to zaban aur taraf

    hain abhi ahl-e-hawas sud-o-ziyan ke hi asir

    pherte hain yunhi baaton se guman aur taraf

    aah-e-sozan ko meri dekh na dekha hoga

    ki hawa aur taraf ki ho dhuan aur taraf

    ruKH raha ta-ba-sahar aur hi jaanib apna

    aur tha matla-e-anwar-fashan aur taraf

    baiTh kar ru-ba-qaza KHush hain ki goya hum ne

    moD Dali hai zamane ki inan aur taraf

    yun palaT jati hain har lahza wo nazren jaise

    joD kar tir ko khinchti hai kaman aur taraf

    chahiye bagh ko bas ek lahu ka chhinTa

    aan ki aan mein jati hai KHizan aur taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now