Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas-e-KHushi miT jata hai afsurda tabiat hoti hai

Mahirul Qadri

ehsas-e-KHushi miT jata hai afsurda tabiat hoti hai

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    ehsās-e-ḳhushī miT jaatā hai afsurda tabī.at hotī hai

    dil par vo ghaḌī bhī aatī hai jab ġham zarūrat hotī hai

    do harf bhī mere sun na sake tum itne kyuuñ bezār hue

    maiñ ne tumheñ apnā samjhā thā apnoñ se shikāyat hotī hai

    ye sūd-o-ziyāñ ke paimāne ye jhūTe sachche afsāne

    in ahl-e-havas bātoñ se badnām mohabbat hotī hai

    ik dūsrī botal aane tak ye durd-e-tah-e-sāġhar sahī

    aur tishna-e-mai betāb na ho saaqī ko nadāmat hotī hai

    'māhir' saada bātoñ se allāh bachātā hai rakkhe

    ḳhud to ye baḌe hazrat haiñ auroñ ko nasīhat hotī hai

    ehsas-e-KHushi miT jata hai afsurda tabiat hoti hai

    dil par wo ghaDi bhi aati hai jab gham ki zarurat hoti hai

    do harf bhi mere sun na sake tum itne kyun bezar hue

    main ne tumhein apna samjha tha apnon se shikayat hoti hai

    ye sud-o-ziyan ke paimane ye jhuTe sachche afsane

    in ahl-e-hawas ki baaton se badnam mohabbat hoti hai

    ek dusri botal aane tak ye durd-e-tah-e-saghar hi sahi

    aur tishna-e-mai betab na ho saqi ko nadamat hoti hai

    'mahir' ki sada baaton se allah bachata hai rakkhe

    KHud to ye baDe hi hazrat hain auron ko nasihat hoti hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mahirul Qadri

    Mahirul Qadri

    Source:

    Nuquush Lahore (Pg. 341)

    • Author: Mohd Tufail
      • Edition: Feb.1956
      • Publisher: Idara Farog-e-urdu, Lahore
      • Year of Publication: Feb.1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now