aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi

Aazim Kohli

ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi

Aazim Kohli

MORE BYAazim Kohli

    ehsās ke sūkhe patte bhī armānoñ chiñgārī bhī

    ik dil siine meñ TuuTā aur fitrat meñ dildārī bhī

    mast umañgoñ ke jhoñke aur faaqa mastī aalam

    hasrat tez havā.eñ bhī ummīd ātish-bārī bhī

    dil par khole uḌne ke liye uḌne magar imkān kahāñ

    rokeñ pairoñ zanjīreñ pinjre chār-divārī bhī

    dekhā na tujhe ai rab ham ne haañ duniyā terī dekhī hai

    saḌkoñ par bhūke bachche bhī koThe par abla naarī bhī

    behāl na ho yuuñ nādāñ dil har haal meñ jiinā hai lāzim

    hai raste meñ āsānī bhī majbūrī bhī dushvārī bhī

    ik khel musalsal gardish dekhā hai ham ne gulshan meñ

    phūloñ khil kar murjhānā aur kaliyoñ kilkārī bhī

    manzil pe na pahuñchā jab koī ilzām usī par kyuuñ aa.e

    rah-rav ke bhaTakne meñ hai kuchh rahbar zimme-dārī bhī

    'āzim' terī barbādī meñ sab ne mil-jul kar kaam kiyā

    kuchh khel lakīroñ bhī hai kuchh vaqt kār-guzārī bhī

    ehsas ke sukhe patte bhi armanon ki chingari bhi

    ek dil sine mein TuTa sa aur fitrat mein dildari bhi

    mast umangon ke jhonke aur faqa masti ka aalam

    hasrat ki tez hawaen bhi ummid ki aatish-bari bhi

    dil par khole uDne ke liye uDne ka magar imkan kahan

    roken pairon ki zanjiren pinjre ki chaar-diwari bhi

    dekha na tujhe ai rab hum ne han duniya teri dekhi hai

    saDkon par bhuke bachche bhi koThe par abla nari bhi

    behaal na ho yun nadan dil har haal mein jina hai lazim

    hai raste mein aasani bhi majburi bhi dushwari bhi

    ek khel musalsal gardish ka dekha hai hum ne gulshan mein

    phulon ka khil kar murjhana aur kaliyon ki kilkari bhi

    manzil pe na pahuncha jab koi ilzam usi par kyun aae

    rah-raw ke bhaTakne mein hai kuchh rahbar ki zimme-dari bhi

    'azim' teri barbaadi mein sab ne mil-jul kar kaam kiya

    kuchh khel lakiron ka bhi hai kuchh waqt ki kar-guzari bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now