aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka

Ahmad Nadeem Qasmi

ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    ejaaz hai ye terī pareshāñ-nazarī

    ilzām na dhar ishq pe shorīda-sarī

    is vaqt mire kalba-e-ġham meñ tirā aanā

    bhaTkā huā jhoñkā hai nasīm-e-saharī

    tujh se tire kūche pata pūchh rahā huuñ

    is vaqt ye aalam hai mirī be-ḳhabarī

    ye farsh tire raqs se jo guuñj rahā hai

    hai arsh-e-mo.allā mirī ālī-nazarī

    kohre meñ taḌapte hue ai sub.h ke taare

    ehsān hai shā.ir pe tirī chāragarī

    ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka

    ilzam na dhar ishq pe shorida-sari ka

    is waqt mere kalba-e-gham mein tera aana

    bhaTka hua jhonka hai nasim-e-sahari ka

    tujh se tere kuche ka pata puchh raha hun

    is waqt ye aalam hai meri be-KHabari ka

    ye farsh tere raqs se jo gunj raha hai

    hai arsh-e-moalla meri aali-nazari ka

    kohre mein taDapte hue ai subh ke tare

    ehsan hai shair pe teri chaaragari ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ejaz hai ye teri pareshan-nazari ka Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now